Tags : :
Aadaab yaaran-e-mehfil!!
Mirza Daagh Dehalvi ki ek behtareen hazal yahaa.n pesh-e-khidmat hai.Mulaahiza farmaaye.n.......
Maut ka na mujhko khatka shab-e-hijraa.n hota
Mere darwaaze pe agar aapka darbaa.n hota
Gar mere haath teri bazm ka saamaa.n hota
Mezbaa.n mai kabhi hota, kabhi mehmaa.n hota
Deen duniya ke maze jab the ki do dil hote
Ek mei.n kufr agar, ek mei.n eemaa.n hota
Dil ko aasooda jo dekha to unhei.n zid aayii
Isse behtar to yahi tha ki pareshaa.n hota
Beniyaazi jo huii, meri tamanna se huii
Mujhko armaa.n jo na hota, tujhe armaa.n hota
Kya ghazab hai, nahi.n insaa.n ko insaa.n ki qadr
Har farishte ko ye hasrat hai ki insaa.n hota
Ho gayii baar-e-garaa.n banda-nawaazi teri
Tu na karta agar ehsaan to ehsaa.n hota
'Daagh' ko humne muhabbat mei.n bohat samjhaya
Wah kaha maan na leta, agar insaa.n hota
Shab-e-hijraa.n = Judaai ki raat
Darbaa.n = Chowkidaar
Aasooda = Santusht, mutmaiin, satisfied
Baar-e-garaa.n = Bojh,burden
Banda-nawaazi = Ehsaan, kripa

Rashid...