Tags : :
ishq kaa jahan benaam hota hai...
tadapna iska anjaam hota hai...
khushnasibon ko kabhi ishq ho nahi sakta...
ye to badnasibon ka kaam hota hai....
----------------------------------------------------------------
dosti mein dil ka tamasha dekha nahi jata
humse tuta hua sisha dekha nahi jata
apne hisse ki khusiya bhi de du tujhe
aye dost tera utra hua chehra dekha nahi jata
----------------------------------------------------------------
tarasti nazro ne har pal unka deedar manga ....
jaisa amaavas ne har raat chaand manga ....
ruth gaya woh khuda bhi ...
jab humne har dua me unka pyaar manga ....
----------------------------------------------------------------
Khuda ne jab ishq banaya hoga .....
to khud per bhi zaroor aazmaya hoga...
hamari to aukaat hi kya ....
is ishq ne khuda ko bhi zaroor rulaya hoga ...
----------------------------------------------------------------
mujhe dard-e-dil ka mazaa malum hai .....
dard-e-dil ki inteha malum hai.....
zindagi bhar muskrana ki dua naa dena.....
mujhe pal bhar muskrane ki saza maloom hai
----------------------------------------------------------------
Manzil bhi uski thi, raasta bhi uska tha,
ek mai hi akela tha, karawaa bhi uska tha,
saath chalne ki soch bhi uski thi,
fir raasta badalne ka faisala bhi uska tha,
ab jab tanha hu to dil sawaal karta hai,
log to uske the, par kya KHUDA bhi uska tha?
----------------------------------------------------------------
hum jeetay bazi tabhi mashhoor ho gai
teri hansi main hansay tu aansoo door ho gai
bas ek terey jaisey dost ki badoolat aye merey dost
aaj hum kaanch say koheenoor ho gai
----------------------------------------------------------------
dost ho to aasoo ki bhi shaan hoti hai ....
dost naa ho to mehfil bhi shamshan hoti hai .....
yeh to dost hai warna....
jaanza aur baraat ek saman hoti hai
----------------------------------------------------------------
mohabbat mein hum naakam kya huye ....
har harkat hamari deewangi lagne lagi ....
lafz jo nikle haal-e-dil bayaan karne ke liye....
duniya ko har woh lafz shayari lagne lagi
----------------------------------------------------------------
mai lafzo se kuch bhi ikraar nahi karta....
iska matlab yeh nahi ki mai usse pyaar nahi karta......
chahta hun mai usko aaj bhi,
par uski sooch mai apna waqt bekar nahi karta......
tamasha naa ban jaye kahi mohabbat meri,
isliya apne dard ka izhaar nahi karta .....
jo kuch mila hai ussi mai khush hun,
mai uske liya khuda se takraar nahi karta....
per kuch to baat hai uski fitrat mai zalim,
warna usse chahne ki khata baar baar nahi karta .......
----------------------------------------------------------------
Yeh wafa ka silla hai to koi baat nahi,
Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahi,
Ye hi bahut hai ki tum dekh rahe ho kinare se
Hum doob rahe hai to koi baat nahi
----------------------------------------------------------------
wah re meri mohabbat kya rang layee hai
khandhoo par hu phir bhi yehi aawaz aayee hai
ki ek baar chehre se parda hatta do
aj wo benakaab aayee hai!!
*(`'·.¸ (`'·.¸* ¤*¸.·'´) ¸.·'´)*
»~:¤.·º`·. » SWEET! DREAMS « .·´º·.¤:~ «
*(¸.·'´(¸.·'´* ¤*`'·.¸)`'·.¸)*.-'''-.,.-"'-. +
Regards
M.Irfan Shaikh
Tel # 021-2627504
Mobile # 0334-ca558ab
E-MAIL : irfanshaikhji@yahoo.com
irfanshaikhji@gmail.com
musafir-life@hotmail.com
muafir-life@googlegroups.com
http://groups.google.com/group/musafir-life

---------
