Remove this ad

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

Rss     Subscribe     Share     Tweet    


0 Points

Lead

Jun 15 06 1:39 PM

Tags : :

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

nazar main shokhiyan bachpana sharatat main

aadaye dekh kar hum fas gaye muhabbat main

hum jaan se jayenge jin ki ulfat main

yakeen hai ke na aayenge woh hi mayaat main

khuda sawal kare ga agar kayamat main

hum yeh keh denge hum loot gaye sharafat main

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

wahi wahi par kayamat ho woh jidhar jaye

jhuki jhuki nazron se kaam kar jaye

tadapta chod de raste par aur guzar jaye

sitam to yeh hai ke dil le le aur mukar jaye

samjh main kuch nahi aata ke hum kidhar jaye

yahi iraada hai yeh ke hum to mar jaye

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

wafa ke naam par maara hai bewafaon ne

ke chain bhi lene na diya jafaon ne

khuda bhula diya ain husan ke khudao ne

mita ke chod diya ishq ki khatao ne

udaye hosh kabhi zulf ki hawao ne

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

hazaro loot gaye nazaro ke aik ishaare par

hazaro beh gaye tufan ban ke dharon par

na ain ke wadon ka kuch theek hai na baton ka

fasana hota hai ain ka hazar raton ka

bahut haseen hai wese to bholapan ain ka

bhara hua hai magar zahaar se badan ain ka

yeh jis ko kaat le pani woh pee nahi sakta

dawa to kia hai dua se bhi jee nahi sakta

ainhi ke maare hoye hum bhi hai zamane main

hai chaar lafz muhabbat ke ais fasane main

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

zamana ain ko samjhta hai nek aur masoom

magar yeh kaise hai kia hai kaisi ko kia maloom

ainhe na teer ki talwar ki zarurat hai

shikar karne ke liye kafi nigahein ulfat hai

haseen chal se dil paaymal karte hain

nazar se karte hai baatein kamal karte hain

har aik baat main matlab hazar hote hain

yeh seedhe sadhe bade hoshiyaar hote hain

khuda bachaye haseeno ki tez chaalon se

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

husan walon ne muhabbat ki kami hoti hai

chane walon ki taqdeer buri hoti hai

un ki baaton main banawat dekhi hai

sharam aankhon main nigahon main lagawat dekhi

aag pehle to muhabbat ki laga dete hain

apne rukhsar ka deewana bana dete hain

dosti kar ke phir aanjan nazar aate hain

sach to yeh hai ke beeman nazar aate hain

maut se kam nahi duniya main muhabbat ain ki

zindagi hoti hai barbad badolat ain ki

din bharon main guzarte hain lakin maar maar ke

loot gaye hum to haseeno pe bharosa kar ke

hamein to loot liya mil ke husan walon ne

kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

.

Quote    Reply   
Remove this ad
Remove this ad
Add Reply

Quick Reply

bbcode help