Tags : :
**Abida Praveen Jee***
Zara si baat pe wo jag hasaiya dekar
chala gaya mujhe kitni judaaiya dekar
Chalo k harf-e-tamanna usi k naam kare
Ke jisne kaid kiya hai rihaaiya dekar
Magar waha to wo hi khamoshi ka pehra tha
Main aa gaya tere dar se duhaaiya dekar
Ajeeb sakhs k wo mujhse bad-gumaaN hi raha
Ke jisko paaya tha maine khudaaiya dekar
Hu kitna saada samjhta tha bach rahunga "safi"
Khayal-e-yaar ko shola navaaiya dekar