Remove this ad

is shahar kee hawa

Rss     Subscribe     Share     Tweet    


0 Points

Lead

Mar 14 08 11:00 PM

Tags : :

apnee khushbu se isko nawaja bhee hai?
is shahar kee hawa kuch taza bhee hai ?

teree nazmon men gar koyee ranee chipee
mree gazalon men kahee ek raja bhee hai

taiyaree kar chuke hain wasl o hizr kee
pas dolee bhee hai aur janaza bhee hai

aaj rut kisee kee bhee suntee naheen
is mousam ka koyee ek raja bhee hai?

kyon de dee wafaayen us ko mange bina?
us ka kaheen kuch takaza bhee hai ?

tum mujh ko yahan se kaheen le chalo
abhee to zakhm mera taza bhee hai
hai un ke ghar mehndee walee gayee
aur galee men koyee baind-baza bhee hai

dunia ko sare hee sukh de diye
ham fakiron ke man men raja bhee hai

jeewan ne angulee thaamee hai meree
kaza kee kaheen aaja aaja bhee hai

---------------------------------------------------
अपनी खुश्बू से इसको नवाजा भी है?
इस शहर की हवा कुछ ताज़ा भी है ?

तेरी नज़मों में गर कोई रानी छिपी
मरी ग़ज़लों में कही एक राजा भी है

तैयारी कर चुके हैं वस्ल ओ हिज़ृ की
पास डोली भी है और जनाज़ा भी है

आज रुत किसी की भी सुनती नहीं
इस मौसम का कोई एक राजा भी है?

क्यों दे दी वफ़ाएँ उस को माँगे बिना?
उस का कहीं कुछ तक़ाज़ा भी है ?

तुम मुझ को यहाँ से कहीं ले चलो
अभी तो ज़ख़्म मेरा ताज़ा भी है
है उन के घर मेह्न्दी वाली गयी
और गली में कोई बैंड-बाज़ा भी है

दुनिया को सारे ही सुख दे दिए
हम फकिरों के मन में राजा भी है

जीवन ने अंगुली थामी है मेरी
कज़ा की कहीं आजा आजा भी है

user posted image

ye ram kee rahamat hai raheem kee ramayan
tum jis ko kahate ho masoom ka pagalpan

Quote    Reply   
Remove this ad
Remove this ad

#3 [url]

Mar 15 08 7:04 AM

bahut bahut shukriya ahsaas bahut se gulabon jise lafzon ke liye aur bahut se lafzon jaise gulab ke liye
Anil

user posted image

ye ram kee rahamat hai raheem kee ramayan
tum jis ko kahate ho masoom ka pagalpan

Quote    Reply   

#7 [url]

Mar 15 08 11:06 AM

gr8 work anil ji

-Ziyaad.
Copyright @ Infinity, Ziyaad.

Quote    Reply   
Remove this ad

#13 [url]

Mar 15 08 8:09 PM

PRANAAM
ACHHI THI..
PAR MAZAA NAHIN AYA...
EK BAAT MEIN KUCH DINO SE APKO KAHENAA CHAHTAA HUN..
AISAA LAGTAA HAI KI APP APNE AAP KO DOHRAA RAHEIN HAI
LAGTAAR..
VIDHA MEIN
SABDON MEIN
BASE IMAGES MEIN
GATEESHEELTA MEIN
MEIN HAQ SE KAHTAA HUN..KI MUJHE SAB KUCH PAHELE SE PADAA MILTAA HAI...JAISE VAHEE PATT
HAR BAAR BAAR TODE JATE HAIN....AUR VAHEE RANG...BAR BAR UDTAA HO
MERE PADOS MEIN EK PROBUDDH KAVI RAHETE HAI..AMARKANT..MUJHE UNKI...REPTITIVNESS SE CHIDD HO KAVI HAI..EK KAVI KI DRISTI SE NAHIN ..EK SHROTA AUR EK CHINTAK KE ROOP MEIN..
BAS VAHEE YAHAAN BHI HAI
KHAIR...AAP VAHEE PURANAA JAWAAB DENGE..JISKI MUJHE UMMMEED HAI..FIR BHI MERI PEEDA PE GAUR KAREIN
APKAA
RITESH MISRA

Quote    Reply   

#14 [url]

Mar 15 08 9:41 PM

main doharata hoon na chalta hoon mere loye kavita apne dimag sabit karne kee vidha nahee hai jo vichar jis roop men ata hai likhta hoon eeshwar na kya badala wahee insan wahee do hath wahee do ankhen doharata rahata hai kintu har vyakti men kaheen doosre se bhinnta hotee hai jo eeshwar men astha rakhata jan jata hai baat astha kee hai budhee kee nahee par achha hai jo vichar man men aya kaha aur prem se kaha prem men sab achha lagata hai sweekary ho ya na ho

Anil

user posted image

ye ram kee rahamat hai raheem kee ramayan
tum jis ko kahate ho masoom ka pagalpan

Quote    Reply   
Remove this ad
Add Reply

Quick Reply

bbcode help