Tags : :
Khowaab-o-Gul Pereyshan rahnay do
Hamin Bahar na keroo Khizan rahnay do
kun chupatay ho dunia say hamary Batain
ya tu ayan hain ayan rahnay do
Dil kay phaphooloon ko na chayroo aysay
jo dard jahan hai wahan rahnay do
jo hai man main kahan koi nikalta hai ?
choroo ya waqat ka zeeyan rahnay do
na bharoo zakham hamaray saray
kuch tu gha-o kay nishan rahnay do
Sab lay lo ham say Sab hi kuch lay loo
bus aawaz-e-pa ka guman rahnay do
Jo lutf hai nala-e-neem-shab main Zee
Hamain yun hi bay karan rahnay do
BY ZEE
M. Z. Naeem
Takhalus: Zee
To SMS or Vocal feed back plz. Contact on
+447853203264
To read my Gazals in Urdu Rasm-ul-Khat click this Link
http://zeespoetry.50webs.com/photo1.htm