Tags : :
Jab dard had se guzre ansoo ka qatra samaundar lage hai kabhi
Tanhaai ke alaam main apni parchaai se bhi dar lage hai kabhi
Jeene ke liye duniya to haasil karli lekin wajood kahin mit gaya
Issiliye sab kuch jeet kar bhi haath khaali lage hai kabhi...
Aankhon main chalakta pyaar aseem aasmaan bhi lage chota
Paakar sanam ka pyaar saari kaainaat baahon main lage hai kabhi
Toot ke chaahna ek jurm-e-sangeen lage hai kabhi
Wohi deta hai daag-e-jigar jo maseeha lage hai kabhi.
Dil ussi se nibhaata hai preet jo kare hai bewafaai
Lut kar raah-e-ishq main paati hai rooh sukoon kabhi
Gar dekha jaai to taajmahal do pyaasi roohon ka nagar hai
Wahaan qaid hai "aarzoo" aur namukammal muraaden hai dabi...