Tags : :
Wo ajnabi tha, ghair tha, kis ne kaha na tha
Dil ko magar yaqeen kisi per huwa na tha
Hum ko tou ehtiaat gham-e-dil aziz thi
Kuch iss liey bhi bewafayi ka gila na tha
Dast-e-khayal-e-yaar se phootey shafaq ke rang
Naqsh-e-qadam bhi rang-e-hina ke siwa na tha
Dhoondha usse bohat ke bulaya jiss ne pass
Jalwa magar kahein bhi sada ke siwa na tha
Kuch iss qadar thi garmi-e-baazar-e-aarzu
Dil jo khareedta tha ussey dekhta na tha
Kese karein zikr uss jafa pasand ka bazm mein
Jab naam dostoun mein bhi lena rawa na tha
Radiant Metal