Tags : :
jara hanso tum logon , mehfil mein deewaana aaya hai
__________________________________________________
khaamosh ke hothon pe tera naam rahega...
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega
ret pe tikta hai kahan mahal khwaab ka
bewaffa ko maalum kya darja gulaab ka
mera to safar hi mera mukaam rahega..
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega
poocho jara chaand se mujhe jaanta hai wo
maine apne pyaar ke tukde kiye hein do..
tum to chale gaye ho magar chaand rahega
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega
utha ke kisi ko nazar mein khud ko giraaya hai
apni hi raahon mein ek patthar banaaya hai
thokar hi mere wazood ka anjaam rahega
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega
ruswaaiyon ka khowff raha hai hi kab mujhe
mile hein ab tak jo bhi chiraag thei bujhe-bujhe
kar ke waffa jiya hun , waffa mein hi marunga
sajde mein aapke mera salaam rahega
khaamosh ke hothon pe tera naam rahega...
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega
sameer aggarwal...(TADAP)...
[URL=http://www.santabanta.com/wallpapers/rating.asp?catid=2107066]My
_ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _
JUDAA HUN KHUD SE ...YE KAISI JUDAAI HAI...
NEEND SHAB BHAR NAHI, AANKHEIN KHUD KI NAHI
__________________________________________________
hansta hun na jaane kab, na jaane kab ashq aate hein palkon pe...kucch pata hi nahi kya karta hun kab..na jaane mein ...hun ya nahi zinda ab