Tags : :
One of my fav ghazals of Krishan Bihari Noor....
Ik Ghazal us pe likhuun dil kaa taqaazaa hai bahut
In dinon Khud se bichhar jaane kaa dharakaa hai bahut
Raat ho din ho ya Ghafalat ho ki bedaarii ho
Usko dekhaa to nahiin hai use sochaa hai bahut
Tishnagii ke bhii muqaamaat hain kyaa kyaa yaanii
Kabhii dariyaa nahiin kaafii, kabhii qatraa hai bahut
Mere haathon kii lakiiron ke izaafe hain gavaah
Main ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut
Koii aayaa hai zaruur aur yahaan Thaharaa bhii hai
Ghar kii dahaliiz paa-e-nuur ujaalaa hai bahut