Tags : :
kahta hoon ek baat
aaj ki raat
JAANAM ho sake to sona mat
sun sako gar baat meri
hai chhupi jo baat mein
JAANAM ho sake to rona mat
aisi hi ek raat
kahne chala jab main
aisi hi kuchh baat
ek boond si tapak padi thi
meri hatheli par
aayee thi woh teri aankh se
aaj tak
maaf nahin kar paaya hoon main
us pal ke liye
us boond ke liye
apne aap ko...
sach kahoon to
tab bhi
ab bhi
kah nahin paaya hoon ab tak
jo sochta hoon main
aur jo kah diya abhi
socha nahin tha
kabhi maine
aaj jab kahne chala to
phir so gaya tu
khwab mein phir kho gaya tu
rah gaya main
adhoori baat
poori raat!
aaj ki raat
JAANAM ho sake to sona mat
sun sako gar baat meri
hai chhupi jo baat mein
JAANAM ho sake to rona mat
aisi hi ek raat
kahne chala jab main
aisi hi kuchh baat
ek boond si tapak padi thi
meri hatheli par
aayee thi woh teri aankh se
aaj tak
maaf nahin kar paaya hoon main
us pal ke liye
us boond ke liye
apne aap ko...
sach kahoon to
tab bhi
ab bhi
kah nahin paaya hoon ab tak
jo sochta hoon main
aur jo kah diya abhi
socha nahin tha
kabhi maine
aaj jab kahne chala to
phir so gaya tu
khwab mein phir kho gaya tu
rah gaya main
adhoori baat
poori raat!
[B]yunhi nahin darwaza khula rakhte hain
ghar mein roshni ko dhoop bhi chaiye
tum bhi to aajkal aati nahin ho!!