Tags : :
Nashe mein dooba hua
mers shehar ka rahgeer.
Sulaakar apni qismat
woh dhoondta hai taqdeer.
Ujaala tow zehar hai
andhera bhi maarta hai.
saanson ke is safar mein
har pal woh haarta hai.
Bhoola woh pattharon ko
kuch yaad bhi nahin.
Sambhaalo woh girr padega
wahan deewar bhi nahin.
Zanzeer se jakda hua
jazbaat mein simtaa hua.
Dhuwaan magar utth-ta gaya
roney lagi sabki dua.
Yeh waqt ka pyala hai
ya pyale mein chalakta waqt hai.
Imaan ki kasam se
har haal mein shikasht hai.
mers shehar ka rahgeer.
Sulaakar apni qismat
woh dhoondta hai taqdeer.
Ujaala tow zehar hai
andhera bhi maarta hai.
saanson ke is safar mein
har pal woh haarta hai.
Bhoola woh pattharon ko
kuch yaad bhi nahin.
Sambhaalo woh girr padega
wahan deewar bhi nahin.
Zanzeer se jakda hua
jazbaat mein simtaa hua.
Dhuwaan magar utth-ta gaya
roney lagi sabki dua.
Yeh waqt ka pyala hai
ya pyale mein chalakta waqt hai.
Imaan ki kasam se
har haal mein shikasht hai.
विपिन[B]
मेरा प्रयास My Webpage