Remove this ad

Agar kuchh naam daina ho ......................

Rss     Subscribe     Share     Tweet    


0 Points

Lead

Jun 21 06 10:42 AM

Tags : :

Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n

Meri qismat mai ghum jo itna tha
Dil bhee yarab kayee diye hotey

Quote    Reply   
Remove this ad
Remove this ad

#1 [url]

Jun 22 06 1:23 AM

ho kar zameen ka aasman ki chaah kyon karoon
main tuj ko panay ki tamanna kyou karoon
muj ko khabar hai judaae tarpaye ge her pal
is liye bta de main tuj se wafa kyon karoon

mere masomiyat ko banayah hai Rab ne mohabbat ke liye
tuj main chaane ki phir khata kyon karoon
farishtey bhi tarap jaate hain jab mere aankh se ashk chalaktey hain

yeh dard main tuje de kar koi gunnah kyou karoon
tere mere qismat ki rahai hai judda judda
main phir tere ban janay ki arzo kyon karoon
mere hatho ki lakiro pe nahi nam tere
main tera nam apnay nam se milane ki justojo kyon karoon

mere batay tere dil main hamesha bas jaate hain
is bat ki khabar rakh kar main koi guftogo kyon karoon
batoon batoon main benaam fasanay ban jaatay hain
aur aesi adhore kahani ko main shoro kyon karoon

jo jazbat hai dil main dil tak mehfooz hai
yeh batao ke main un ka zikar dobara kyon karoon
mana ke mohabbat bare nazar dil par gehra assar karty hai
us ko pyaar se dekh kar us par koi jadoo kyon karoon

mere liye yeh mumkin nahi ke me tera ban jaaon kabhi
lekin main tuj se mohababt ka izhar kyon karoon

user posted image

Quote    Reply   
Add Reply

Quick Reply

bbcode help