#1 [url]

Jan 15 07 5:48 PM

QUOTE (kasak @ January 13, 2007 08:01 pm)
saakii ab meraa zaam na bhar! madahosh huaa behosh na kar!
mayakhaanaa mahafil khoob huaa! ab jaane de mujhe apane ghar!


kyaa baat hai janaab.......sach me dil bhar gayaa?

mai.n tanhaa bhee hoo raat bhee hai! naa koee mere saath bhee hai!
thaame mujhako koee kyo.n kar! khaake Thokar gir gayaa agar!


hmmm.....bahut achche...

peene se kyaa gam jaataa hai! kyo.n mujhako tu bahalaataa hai!
yaaraa aisaa hotaa jo agar! ye duniyaa.n peetii shaam-sahar!



are waah!
logic....dheer sahab....bahut sahii misra....

baa.Ndaakash aur bhee aaye hai! aawaaz tujhee ko lagaaye hai!
ehsaan zaraa unape bhee kar! jaa unake khaalii zaam tu bhar!


saaqi se itnii nafrat!!
uh!

yaa.nraa kee mere hai fitarat! pyaale se usako hai nafarat!
jo merii khoj me.n aayaa gar! .Dhaa degaa mayakhaane pe kahar
!

hmmmmm.....bahut umda....

kyaa.n merii soorat bhaa lee hai! ab zeb bhee merii khaalii hai!
ye pyaar jataanaa band bhee kar! tu ek asharafee kaa chaakar!

kal fir se luTane aaoo.Ngaa! kuchh aur asharafiyaa laaoo.ngaa!
kuchh waado.n par bhee yakiin kar! ab ha.Nsate ha.Nsate rukhasat kar!


mmmm....mere khayaal se yahaan 'ashrafiyaa' kii jagah sirf 'ashrafii' hotaa...to rythym theek hotii....
khair...pataa nahi....beher ka itnaa bhii ilm nahii mujhe...

justju/icon_clap.gif

dheer sahab.........
tasleem!

wallaaah!
umda...bahut umdaa.....
ek pur-asar tehreer pesh--e-nazar kii hai apne....
beher me hai....to padhne ka mazaa hii kuchh aur thaa......
waise sharaabi kalaam kam hii padhtii hoon...kyunkii mere matlab kaa nahii hai....

janaab.....bahut kam log hote hain jo beher me likh paate hain...
sabse pecheeda hissa hai ek ghazal ka....
magar apne isko pakad liyaa hai....
khushnaseeb hoon jo padh sakii is kalaam ko.....
mashq-e-sukhaN jaari rakhiyegaa....

dua go,
KasaK......

Kasak ko Dheeraj ka Aadaab!!!
Kasak ne taariff karne mein ko Kasar nahi chhodi!! aapki rai pe gaur bhi karungaa... aur rhythm bigdi lagi ko use sudhaarne ki koshish karungaa.... !!Tahe dil se shukriyaa aapkaa..ki jo khayalaat aapke kaam ke nahi the (maykashii) .. uske bavjood aapne kalaam pe tafsil se nigaahe karam farmaaya!!
Aise hi apni salaah-mashware se mera faydaa karaati rahe!! aur apnaa khyaal rakhe!!!