#1 [url]

Jan 13 07 8:26 AM

QUOTE (aarzoo @ January 13, 2007 05:51 am)
Na hi tujh main wo jazbaat rahe
Na hi tujh main wo ehsasaat rahe

Dil ajab kashmakash main mubtela raha
Zehan main kai unsuljhe sawalaat rahe

Ishq ki raahon main hai dushwariyan
Issi soch main doobe khayalaat rahe

Tere waadon ki kadiyaan hai kitni kamzor
Kache dhaagon jaise teri har baat rahe

Raat ke ghane saaye main tanha main akeli
Sath mere teri yaadon ki saughaat rahe

Zindagi ke falsafe hai kitne pechide
Kaash zindagi main koi karamaat rahe

Manzilon ki "aarzoo" main nikal padi thi
Simat ke raahon main saari kaainaat rahe...

Na hi tujh main wo jazbaat rahe
Na hi tujh main wo ehsasaat rahe

Dil ajab kashmakash main mubtela raha
Zehan main kai unsuljhe sawalaat rahe

aaarzoo....tumhare kalam ki kya tariff ki jaye aur kaise ki jaye ......din per din muskil hota ja raha hai...... bahut khoob likha hai........

tumhare bina to ye parivaar aisa ho jata hai ki kafile mein chalna aur bahut muskeraker hasate hasate chalne mein jo anter hota hai..........safer dono hi kat jate hai....lakin kaise kat-te hai vo rahi janta hai....

luv
archana