#1 [url]

Jan 13 07 8:20 AM

QUOTE (aarzoo @ January 13, 2007 05:51 am)
Na hi tujh main wo jazbaat rahe
Na hi tujh main wo ehsasaat rahe

Dil ajab kashmakash main mubtela raha
Zehan main kai unsuljhe sawalaat rahe

Ishq ki raahon main hai dushwariyan
Issi soch main doobe khayalaat rahe

Tere waadon ki kadiyaan hai kitni kamzor
Kache dhaagon jaise teri har baat rahe

Raat ke ghane saaye main tanha main akeli
Sath mere teri yaadon ki saughaat rahe

Zindagi ke falsafe hai kitne pechide
Kaash zindagi main koi karamaat rahe

Manzilon ki "aarzoo" main nikal padi thi
Simat ke raahon main saari kaainaat rahe...

Wowwwwwww Aarzoo pahle toh welcome back dosttttttttt miseed you so much.

Aate hi itni zabardast rachna pesh ki padh kar dil roya bhi ek dard ko mehsoos bhi kiya. kalaam daad ke kabil hai par dard mein daad nikalti nahi dear.

Tere waadon ki kadiyaan hai kitni kamzor
Kache dhaagon jaise teri har baat rahe

Raat ke ghane saaye main tanha main akeli
Sath mere teri yaadon ki saughaat rahe

har sher khub likha hai. yunhi likhti rahna. Dua karti sari duniya ki khushiyan aapki ho jaain

nira