#1 [url]

Jun 18 06 1:21 PM

QUOTE (brijesh @ June 17, 2006 11:50 pm)
wah kya baat hai wafa ji bahut hi class line likhi hain aapne

Hath ki chand Lakeeron se Taqdeer badalna chahte hain


Zindagi ko Tadapte huey ek Arsa ho chala hai “wafa”
Markar abb thoda Zindagi ko Jeena Chahte Hain

shukriya Brijesh ji.....mere kalaam ko pasand karne ke liye bahut shukriya

Rafta rafta dard syahi mein ghul gaya “wafa”
Aur zindagi ka karz panno mein ada ho gaya