#1 [url]

Sep 27 06 4:45 PM

QUOTE (aarzoo @ September 25, 2006 08:14 pm)
QUOTE (ek_wafa @ September 25, 2006 06:55 pm)
Dard-o-ghum ko kehne se darti kyun hai “wafa”
Kalam uthayi hai toh unn sabki numayish bhi kar

bohot khoob wafa....

jab beda uthaya hai gam ka to phir kaisa ghabrana
Tu likhti jaa apne dil ki baat phir kaisa ghabrana...

tx di…..likhna toh saans lene ka barabar hai di….wafa bhi tabhi takk hai jab takk uski kalam hai…shukriya!

Rafta rafta dard syahi mein ghul gaya “wafa”
Aur zindagi ka karz panno mein ada ho gaya