#1 [url]

Sep 25 06 8:49 PM

QUOTE (aarzoo @ September 25, 2006 08:12 pm)
QUOTE (Harash Mahajan @ September 25, 2006 06:30 pm)
______Rock Garden

Maine suna hai
Kisi kalakaar ne
Tooti our bekaar
vastuaoon se
"rock Garden" banaker
Ek darshaneeya sathaan bana diya hai.

Main us se milna chahta hoon
Main apne saare ahsaas
use de doonga
us se woh duniya
ke liye koi sangrahiniya kaarya
ker sakega.

Dil toh mera
"Rock" hai hi,
Kya us par
Ahsaas ka garden
bana sakega?

Harash

hmmmmmmm...harsh sochne waali baat hai....aapke pathar dil par ahsaasaton ke phool khilaane ke liye kissi kalaakar ki nahi...ek aise sache jeevan sathi ki zaroorat hai jo apne pyaar se aapke dil ko mom karde...kahaan aap sangtarash se umeed kar baithe hai...insaan ke dil aur pathar main bohot farq hota hai...

bohot khoobsurat aur anokha ahsaas bayaan kiya hai...acha laga padh kar...

dil to mera pathar hai
tum apne pyaar se is main
wafa ke phool khila do
aur "aarzoo" ke deep jala do...

bahoot khoob....aapke jawaab main bahoot taaseer hai wafa ki.....Thx Aarzoo ji....