#1 [url]

Sep 25 06 7:24 PM

QUOTE (Harash Mahajan @ September 25, 2006 06:30 pm)
______Rock Garden

Maine suna hai
Kisi kalakaar ne
Tooti our bekaar
vastuaoon se
"rock Garden" banaker
Ek darshaneeya sathaan bana diya hai.

Main us se milna chahta hoon
Main apne saare ahsaas
use de doonga
us se woh duniya
ke liye koi sangrahiniya kaarya
ker sakega.

Dil toh mera
"Rock" hai hi,
Kya us par
Ahsaas ka garden
bana sakega?

Harash

Harash ji

sabka sahi kahna hai. bahut badhi baat kahi hai, dil ko lagi hai. apna khayal rakhye.

nira