#1 [url]

Sep 6 06 11:05 AM

zindagi tu kabhi humko mukammal kyon nahi milli
milli bhi to kyon tu tukdon main hi milli
lamha lamha dasti hai dil ko tu tadpaati hai
boond boond ban ke kyon tu mujhko hai milli
qatra qatra apna moh tu barsaati hai
pyaasi pyaasi si kyon hai tu humko milli
tanha tanha zindagi ka taweel safar
manzilon ki naye rehguzar par kyon tu nahi milli
pyaar bhi diya to bas adha adhoora aur na mukammal
ek poora mukkamal rishta banke zindagi tu kyon nahi milli
ye carvan zindagi ka na humsafar na koi humnasheen
"aarzoo" ko tu kabhi dilnasheen banke kyon nahi milli...


wah wah arzoo ji kaya khub gilha hai zindagi se...kasam se ek ek ashaar lakhon afsane liye huye hai....main soachta hoon isse behtar gilha koi zindagi se kar hee nahi sakta....meri daad kabool karna ....take care.......raj.......