#1 [url]

Sep 3 06 2:48 PM

QUOTE (aarzoo @ September 02, 2006 10:46 pm)
zindagi tu kabhi humko mukammal kyon nahi milli
milli bhi to kyon tu tukdon main hi milli
lamha lamha dasti hai dil ko tu tadpaati hai
boond boond ban ke kyon tu mujhko hai milli
qatra qatra apna moh tu barsaati hai
pyaasi pyaasi si kyon hai tu humko milli
tanha tanha zindagi ka taweel safar
manzilon ki naye rehguzar par kyon tu nahi milli
pyaar bhi diya to bas adha adhoora aur na mukammal
ek poora mukkamal rishta banke zindagi tu kyon nahi milli
ye carvan zindagi ka na humsafar na koi humnasheen
"aarzoo" ko tu kabhi dilnasheen banke kyon nahi milli...

AARZOO JI,

zindagi tu kabhi humko mukammal kyon nahi milli
milli bhi to kyon tu tukdon main hi milli

BAHUT KHUB

AAJ KAL AAP JYADA DARD LIKHNE LAGI HAI

CHINTA HO JATI HAI

GOD BLESS YOU

PYAS



Guru kabira ne di hai shikxa
Lalat lagau aise dikxa

kavya jan chetana bane
Guru kabira do aise bhikxa



Meri kavitaye dohri dohri
Syam socho, nikli dupahari

Upar upar doodh, niche rabdi
Nasamajh ki samajh adoori

Grahan kiya jo satya tathya
Har Pyas se ho jaye doori


Arvind Vyas "Pyas"