#1 [url]

May 28 08 12:13 PM

Ratti bher saksham nahi,
Naa hi main gunwaan,
Kamiyaan anginat hain mujhme
Awgun ki main khaan
Naakaamiyon ka dher hun
khaamiyan hi pehchaan


dd kamiyaa sabmein hoti hai koi bhi puran nahi hai ayhan...to apko yaisa mein anhi mana sakti ..khubiya kya hai mein janti hun .

Baatein bana fuslana
kisi ne sikhalaya nahii
Roop dikhla rijhana
kisi ne batlaya nahii


koi baat nahi bata bana ke fuslana aur roop se rijhana dono asatayee hai aap to stayee taur pe apna banati hai kisi ko.. jaise ki mein hun na

Badi is jahaan ki batein
Jalwe iske bade-bade
Anpadh, ganwaar anaadi hun main
Mohabbat ke..
bas kalme hain maine padhe

yahan apse sehmat anhi hun...apne likha hai "Anpadh, ganwaar anaadi hun main" ye sab jhunth hai ..aap to dusro ko padati hai phir se sab galat to hai.

Mukhaute main lagati hun
Muskaanon se ashq chhipati hun
Be-imaani bhi main kerti hun
Kerwaton se nind churaati hun


mukhoute sab hi lagate hai yahi jindagi chahti hai sabse...jeene ke liye har kadam pe rote huye muskurana padta hai.aur sab life ke part hai .

Ziddi hun,haththi bhi hun
Juughuun her musibat se
Laaperwah hun, main beperwaah
Bas haarun khud ki kismat se


sahi kaha..kismat ne dagaa diya hai apko...lekin ye jiddi hona bhi to aapka +ve point hi lagta hai mujhe to. gud naa

Jeevan ke sawalon se
Main ladTi hun, jhagadTi hun
Gamon ki her chunauti ko
samajhTi hun, nipat.Ti hun


sawaloin se hokar gujarana aur gamoin se niptna doino hi bahut achi baate hai...jo har koi anhi kar pata lekin aap bhaut achi tarah kar leti hai samna .

Tuu hi bataa de
Aye Sakhi!!
Sang tera kaise, main paaun
Naa kaabil hun
Main jaahil hun
Hunar kaise ginwaaun
Mere sang tuu dukhi hogi
Saheli terii...
kaise ban jaaun!!


saheli to aap ban chuki ho meri mein dukhi anhi hun...khush hun aapko apna banake .. aur kitni kabil hai ham sab hi jante hai

love u always dd
miss u tooooooooooooooooooooooooooooooooo bahut saraa

sakhi