#1 [url]

May 25 08 6:31 PM

QUOTE (gatika @ May 23, 2008 03:15 pm)
aarzoo ji ,

mujhe bahut urdu aati nahi hai .lekin aapki ye jo rachana hai dil ko kahin bahut gahare chhooo jaati hai. khaas taur se...." mera pyaar tere liye ek tohfa ...tera pyaar khairaat kyon hai "

bahut khoob likhi hai.
plz talib aur zaat ka matlab batayengi.....

gatika mere kalaam ke ahsaas tumhaare dil tak pohonchte to samjho mera likhna safal hua..

kuch lafz bohot asaan hote hai lekin samjhana mushkil

zaat m'ana mera apana self meri zaat aapki zaat.
Taalib means chaahne wala, talabgaar, Khuwahish karne wala, mangne wala.

umeed hai aapko samajh main agaya hoga..keep coming n keep reading..