#1 [url]

May 24 08 1:58 PM

QUOTE (abha @ May 22, 2008 08:59 am)
Ratti bher saksham nahi,
Naa hi main gunwaan,
Kamiyaan anginat hain mujhme
Awgun ki main khaan
Naakaamiyon ka dher hun
khaamiyan hi pehchaan

Baatein bana fuslana
kisi ne sikhalaya nahii
Roop dikhla rijhana
kisi ne batlaya nahii

Badi is jahaan ki batein
Jalwe iske bade-bade
Anpadh, ganwaar anaadi hun main
Mohabbat ke..
bas kalme hain maine padhe

Mukhaute main lagati hun
Muskaanon se ashq chhipati hun
Be-imaani bhi main kerti hun
Kerwaton se nind churaati hun

Ziddi hun,haththi bhi hun
Juughuun her musibat se
Laaperwah hun, main beperwaah
Bas haarun khud ki kismat se

Jeevan ke sawalon se
Main ladTi hun, jhagadTi hun
Gamon ki her chunauti ko
samajhTi hun, nipat.Ti hun

Tuu hi bataa de
Aye Sakhi!!
Sang tera kaise, main paaun
Naa kaabil hun
Main jaahil hun
Hunar kaise ginwaaun
Mere sang tuu dukhi hogi
Saheli terii...
kaise ban jaaun!!

justju/no_comment.gif

user posted image


I love walking in the rain....
B'coz
no one knows i am crying.....