#1 [url]

May 22 08 11:18 PM

aur phir-
wahi beraunak si zindagee
kaise, kab kahan shuru hui
ahsaas nahi rahata
kal, aaj aur kal
beetate jaate hain
par unaka
hisaab nahi rahata.
is behisaabi duniya men
tum beeta kal dhoondhate ho
par yahan to ab aaj ka
hisaab nahi milta


aaj kal ki zindagi ko is khoobsurat nazm main khoob nibhaya hai...daad ki haqdaar hai...yunhi is mehfil ko apne khoobsurat kalaam se mehkaate rehna..