#1 [url]

May 22 08 11:04 AM

ye batana bhool gaya tha-
Kishori Amonkar ji ne M S Subbalakshmi ji ko aathvan sur kaha tha
ab aisa sochna bahut hi gaalt hoga ki woh Swar-samragyi par kataksh kar rahi hongi
unke kehne ka arth tha ki unka swar itna divya itna shuddha hai ki woh aam saptak ki paridhi se bahut brihat hai
isiliye aathvan sur
shabd ki ek aur shakti hoti hai..aarsh prayog
jab koi gunvaan vyakti kisi shabd ka prayog kisi vishesh arth me karte hon, to unke gun se aur tej se us shabd ka wah arth bhi siddh ho jaata hai kyonki kaha gaya hai "tejiyasaam na doshaih"
is uddharan se ye samyak roop se siddh hota hai ki "aathvan sur" shabd ka prashansa ke roop me aarsh prayog prachalit hai

[B]yunhi nahin darwaza khula rakhte hain
ghar mein roshni ko dhoop bhi chaiye

tum bhi to aajkal aati nahin ho!!