#1 [url]

May 22 08 10:58 AM

kavya me aisa avashyak nahi ki upma ya roopak poorv kaviyon ya kavitaon ke anuroop ho
roopal ka prayog chamatkar poorna naveen tatparya hetu kiya jaata hai
astu isme naveenta ka bodh nihit hai
jab ham kehte hain"upama Kalidasasya" tab ham is baat ki prashansa ya anushansa nahi karte ki Kalidas ne poorv-vidh kaviyon kii bhaanti upama ka prayog kiya hai.
yahaan tatparya hai ki unhone kisi naveen upman -upmeya ka prayog kiya hai jo ab tak drishtigochar nahi hua hai

jab ham ashtam swar ki baat karte hain to yahaan ek naveen prayog ki chesta hai. Ham saptak jaante hain aur uske swaro se kai raag-raginiyon ka udbhav hota hai ye baat bhi agyaat nahi hai

magar jab ham ashtam swar ki baat kehte hain to ingit ye hai ki aisa swar jo pehle kabhi suna na ho, jo alag ho evam jo sampoorna jagat ko gyat na ho.ek aisa sanket jise keval do sahriday samajh paayen aur us aboojh swar me unke prem ka swaroop samajh aa sake

is shabd ko nissandeh uphaas hetu bhi prayog kiya jaa sakta hai
parantu kisi rachana me prayukt shabd ka marma keval uski abhidha shakti se nahi pehchaana jaa sakta
isiliye vyakhya hetu prasang ko janna bahut avashyak hai.prasangvashatah shabd ki lakshana shakti prakat hoti hai, jahaan wo shabd apne abhidhan arth ko tyaag kisi naveen arth ki or ingit karta hai
yahaan kuch aisa hi prayog hai.

aur jaisa maine pahle likha ki AATHWAN SUR naamak ek kalaam prasidhh sangeetkaar Naushad saab ka aa chuka hai..nishchit roop se Naushad saab jaise sangeetkaar is baat ko samjhte honge aur swayam par vyangya karne ke liye aisa kalaam pesh nahin karenge

[B]yunhi nahin darwaza khula rakhte hain
ghar mein roshni ko dhoop bhi chaiye

tum bhi to aajkal aati nahin ho!!