#1 [url]

Mar 16 08 6:50 PM

QUOTE (madhur @ March 15, 2008 10:19 pm)
usi key paas merey katal ka samaan thaa,
vo shukhs jiska mahfil main bada naam thaa,,

diyon pey mar mitnaa uski raja thi,
bati ko mujh andhrey sey bhala kya kaam thaa,,

par katey kisney lahuluhaan kar diyaa,
masoom panchi ki ankhon main mera pegaam thaa,,

kaun kahta hey ki kuch [jamana] aaj badal gaya,
dil ka rona vohi subah shaam thaa,,

tum doobna chahtey they kabhi mujhmain,
mere daman main fakat bheegney ka intjaam thaa,,

terey hi chahney valon ne yeh sub kiya hogaa,
varnaa kab 'madhur' shahar main badnaam thaa,,,,,,,,,,,,,

wow bahut accha likha hai aapne Madhur ji. justju/icon_clap.gif

ROJA



Jeena Yahan Marna Yahan... Iske Siva Jana Kahan?