#1 [url]

Jan 22 08 10:38 AM

QUOTE (dheerendra @ January 13, 2008 03:28 pm)
---Antim Vishram----

barson ki ek sangharshpurn yaatra ke baad
koi pathik karne chala hai vishram
aur dena chahta hai apni yaatra ko viram
hamen to khush hona chahiye ki
ek aur musafir ka samapt hua sangharsh
aur kar raha hai antim vishram
tabhi to hai uske chehre par ek anantim santosh
aur honthon par hai ek bheeni si mushkaan
phir hum kyon kar rahe hain vilaap
aur daal rahe hain uske vishram men vyavdhan.

-------------------------------------------------------------------------
--- अंतिम विश्राम ----

बरसों की एक संघर्षपूर्ण यात्रा के बाद
कोई पथिक करने चला है विश्राम
और देना चाहता है अपनी यात्रा को विराम
हमें तो खुश होना चाहिए की
एक और मुसाफिर का समाप्त हुआ संघर्ष
और कर रहा है अन्तिम विश्राम
तभी तो है उसके चेहरे पर एक अनंतिम संतोष
और होंठों पर है एक भीनी सी मुश्कान
फिर हम क्यों कर रहे हैं विलाप
और डाल रहे हैं उसके विश्राम में व्यवधान.

justju/fantastic.gif justju/fantastic.gif

sahi kha apney..lakin insaan prem vash rokta hai....kya kar saktey hai