#1 [url]

Sep 20 07 11:07 PM

khaamosh ke hothon pe tera naam rahega...
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega

wah wah kya hsuruwas ki hai sameer main to shuru se hi tumhara pankha hoon


ret pe tikta hai kahan mahal khwaab ka
bewaffa ko maalum kya darja gulaab ka
mera to safar hi mera mukaam rahega..
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega

wah wah kya likh diya hai

poocho jara chaand se mujhe jaanta hai wo
maine apne pyaar ke tukde kiye hein do..
tum to chale gaye ho magar chaand rahega
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega

haan wo to dekhta hi hai dukh sukh ka sathi hai na


utha ke kisi ko nazar mein khud ko giraaya hai
apni hi raahon mein ek patthar banaaya hai
thokar hi mere wazood ka anjaam rahega
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega

ruswaaiyon ka khowff raha hai hi kab mujhe
mile hein ab tak jo bhi chiraag thei bujhe-bujhe
kar ke waffa jiya hun , waffa mein hi marunga
sajde mein aapke mera salaam rahega


khaamosh ke hothon pe tera naam rahega...
kucch bhi kar jaaye,'tadap' badnaam rahega


ek bhaut hi achhi kalaam ek baar fir se sameer

bus likhte raho itne din wait nahi karaya karo

user posted image