#1 [url]

Sep 19 07 7:23 PM

QUOTE (aarzoo @ September 16, 2007 05:17 pm)
Apni kismat aazmaana chahti hun
Phir naya zakhm khaana chahti hun

Tere diye zulm-o-sitam ki saughaat
Ansuon main bahaana chahti hun

Nasheman par hai sayyad ki nazar
Phir naya aashiyan banaana chahti hun

Zor-e-kalam ko na parakh jafakaar
Lafzon main baandh kar bulaana chahti hun

Zindagi ka bahaana hai teri yaad sanam
Yaad-e-maazi main bitaana chahti hun

Chand sanson ki mohollat de ai ajal
Intezaar-e-sanam ka bahaana chahti hun

Aajaa ai katil dilbar sunle meri pukaar
Intezaar ki ghadiyon ko nibhaana chahti hun

Apne tarsh lehje se "aarzoo" ko naya zakhm de jaa
Aaj phir main muskuraana chahti hun
[align=center]Text[/align]

aarzooooooooooo

wahhhhhhh daad hi daad hai dil ki chahaat par aaj.

main bhi kuch kana chahti hoon. par abbi paata nahi sochkar batati hoon.

jokinggggggggggg baba. bahut acha likha hai aarzoo. aise hi likhti rahna.

nira