#1 [url]

Sep 17 07 9:52 PM

gul ji
is baar mujhe behr men bahut hi jhol lagaa;mere zehn men ise parh kar jo behr banti hai vo yoon hai;
mufaa'iilun-mufaa'iilun-mufaa'iilun-mufaa'iilun
hazaaaroN saal nargis apni benoorii pe roti hai
chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayeN ham donon

etc.

1222-1222-1222-1222
shehed ki makkhi ka chatta hai ya makdi ka jala hai
khuli aankhoN se es duniya ko hum ne dekha bhala hai
tarikhi aur andhiyare ne har su dherah dala hai
hamiiN dewaanoN ke dam se hai har su jo ujaalaa hai


chaman

dil ki sabh ranj-o-alam jabr-o-zarar bhool gayaa
us pe yeh bhool yeh sochaa ki tujhe bhool gayaa

sach hai dil jaanata to hai,tu mujhe bhool gayaa
thii nahii.n bhoolne ki baat magar bhool gayaa