#1 [url]

Sep 16 07 10:27 PM

Mera daaman tou saaf tha lekin
Shehr sara khilaaf tha lekin
hmm haan shaher khilaaf ho to kya kiya jaaye


Ek pari ki mujhey bhi chaah rahi
Darmiyan mein koh qaaf tha lekin

bhaut khoob

Piyar tha uss ki zaat se ghera
Soch se ekhtilaaf tha lekin

wah wah kya baat kahi hai

Ye alag hai, giley rahey uss se
Zindagi ka tawaaf tha lekin

bhaut bhaut sach

Aankh ki jhaalroun pe shabnum thi
Qehqaha wa-shigaaf tha lekin

wah wah kamaal

Dhoop lamhoun mein saaibaan mera
Barf rut mein lehaaf tha lekin

Mujh pe tazeer lag gayi wahan
Jurm uss ka muaaf tha lekin
hmm haan aisa hi hai

bhaut hi achhi gazal ek baar fir se aapki taraf se naseer ji bhaut achha lagta hai aapko padhna

user posted image