#1 [url]

Aug 26 07 2:12 PM

QUOTE (masoomshayer @ August 25, 2007 02:03 pm)


doston kabhee kabhee aap sher jab parhte hain apnee baat samnjh sakte hain jahan likhte hain wahan kayee baar aap baat kah nahee pate. pahale sher men ek baat hai jsi deewar ke sahare hain....is men main kahane chah raha hoon ek kamzor deewar ke sahre khada hoon is tarah deewar mera sahara hai main deewar ka sahara hoon
shukriya

Anil

jis deewar ke sahare hain us deewar ke sahare hain
ham giren ki tum giro tumhare the tumhare hain

apnee raton ke liye khwabon kee tarah rakh lo
dekho mere pas aaj ik chand hai kuch tare hain

aayo ki ik dooje ko ab thodee thodee jeet den
tum aksar hare ho ham bhee to aksar hare hain

gam jadaa hain log kayee par main tum tak aya hoon
bakee saree duniya kee ankhon ke ansoo khare hain

dono sahil par baithe ret ka ghar banaye ek
tum jis kinare par ho ham usee kinare hain

pyar men pyar ka pal nahee mila to nahee mila
ham dono kee ankhon men par sapne pyare pyare hain
-----------------------------------------------------------
जिस दीवार के सहारे हैं उस दीवार के सहारे हैं
हम गिरें की तुम गिरो तुम्हारे थे तुम्हारे हैं

अपनी रातों के लिए ख्वाबों की तरह रख लो
देखो मेरे पास आज इक चाँद है कुछ तारे हैं

आयो की इक दूजे को अब थोड़ी थोड़ी जीत दें
तुम अक्सर हारे हो हम भी तो अक्सर हारे हैं

ग़मजदा हैं लोग कई पर मैं तुम तक आया हूँ
बाक़ी सारी दुनिया की आँखों के आँसू खIरे हैं

दोनो साहिल पर बैठे े रेत का घर बनाए एक
तुम जिस किनारे पर हो हम उसी किनारे हैं

प्यार में प्यार का पल नही मिला तो नही मिला
हम दोनो की आँखों में पर सपने प्यारे प्यारे हैं

Bohot khoob anil Ji... daad hazir hai kubool ho....

Abrar...

Har ik sawaal ka us ko jawaab kya deta,
Main apni zaat ka usko hisaab kya deta,
Jo aik lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz,
Main us ke haath main poori kitaab kiya deta.(N.M)