#1 [url]

Aug 14 07 2:41 AM

QUOTE (Shrddha @ August 13, 2007 11:22 am)
choriye bhi yeh piyaar ki batain
rasme-wafa dost yaar ki batain

hmm chorna hi behtar hai

yaha nahi rehta koi sada kisi ka
kyon karte ho ikhtiyaar ki batain


hmm sach yahi hai

beetaygi umar na mileygi manzil
sooch le jitni bhi diyaar ki batain

bilkul sach

khookli duniya ruswaayi se bhari
na dhoond ismei mayaar ki batain

hmm shayad sirf dukh mile

hote hain mast nazaroon se ghayal
naa karna kisi se hatyaar ki batain

kab tuk wafa ka bharam bharayga
nahi sunta koi dukhyaar ki batain

bilkul sach hanso ki saath kuch log to honge ronge wale ke saath bhala koun chala hai

taajub hoga tujh per Amaan ko gar
ab bhi kare tu visl-e-yaar ki batain

ek bhaut hi sachhi duniya dikhati gazal aajkal aap bhaut alag likh rahe hain amaan aur aapki gazal jaise zindgi ka aaiina ban gayi ho

shukariya Shilpa ji

Sometimes I cut myself to see how much I bleed and how much it hurts!!!!