#1 [url]

Aug 13 07 2:02 PM

QUOTE (Amaan @ August 08, 2007 11:08 pm)
dekh le anjaam-e-bashar bebasi mein
maut se hay ja milta kaisi bekasi mein

hota hay bekhabar zaalim taqdeer se
yeh zindagi guzray gi kaisi behasi mein

kabhi be-roozgaari ne hay usko maara
kabhi jaan de ghumooN ki udaasi mein

ishq mohabbat mein jeene wale aashiq
haif gaye kaise is duniya se bebasi mein

rishtoon ki uljhan ko suljhatay suljhatay
hoker tang deta hay jaan is khulasi mein

marna sabhi ko ek na ek din Amaan per
mar na jaye koi haraam maut bekasi mein

rishtoon ki uljhan ko suljhatay suljhatay
hoker tang deta hay jaan is khulasi mein

marna sabhi ko ek na ek din Amaan per
mar na jaye koi haraam maut bekasi mein


Ye akhri sher bohot kuch keh gayaaaaaaa....jaise zehan ko jhinjod diya....jab halaat bikherte hai to kahaan ehsaas hota hai ache bure ka.......bohot khoob aur ek naya ehsaas lekar aai hai bazm main.