#1 [url]

Aug 9 07 12:19 AM

bahut khoob koshish hai 'amaan' ji
behr ke lihaaz se is men kuch tarameem suggest kar rahaa hoon;hatyaar and dukhyaar ,go men ne kheench taan kar use kar liyaa hai;behtar hoga ki in ki jagah koii rawaan lafz aaye.

---------------
behr:2122-1212-22
yeh dhuaaN saa kahaaN se uththa hai
dil jalaane ki baat karte ho[noor jahaan]
mennu tera shabaa lai baitha[shiv-panjabi]
aaye kuch abr kuch sharaab aaye[faiz]
etc.

----------

chhoriye bhi yeh pyaar ki baatain[2122-1212-22]
rasm kii ,dost yaar ki baatain

nahi rehta kisi ka koi sada
karte ho ikhtiyaar ki baatain

umr beete na mileygi manzil
soch kitni dayaar ki batain

khaali , ruswaayi se bhari dunyaa
kahaaN ismeiN mayaar ki batain

hote hain mast nazroN se ghaayal
karo ab na hatayaar ki batain

wafa kaa kab talak bharayga bharam[viase bharam paalanaa aana chaahiye]
sunta kaun dukhiyaar ki batain

hoga ta'ajub 'amaan' ko tujh pe
jo karo wasl-e-yaar ki baaten

dil ki sabh ranj-o-alam jabr-o-zarar bhool gayaa
us pe yeh bhool yeh sochaa ki tujhe bhool gayaa

sach hai dil jaanata to hai,tu mujhe bhool gayaa
thii nahii.n bhoolne ki baat magar bhool gayaa