#1 [url]

Jun 24 07 6:09 PM

QUOTE (medha_jain3 @ December 22, 2006 01:18 pm)
Is family me ye meri pahli post hai ummid karti hun aap sabhi ko pasand aayegi,
aapke response ka intzar rahega


Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko

Is deewane ka ishq samjhna mushkil hai
Khud jalta hai chandani ke intzar me
Ya jalata hai chandani ko intzar me

Koi purana aahiq sa lagta hai kabhi
To kabhi diljala sa lagta hai
Na jane kis hisab se chandani se pyar kiya karta hai

Kabhi badlo ke piche se chhup chhup
Chandni ka deedar kiya karta hai
To kabhi na aakar chandani ko saja e ishq bhi diya karta hai

Ajab si kahani hai is deewane ki
Rota nahi magar fir bhi dekhiye
Shabnam se iske ashqo ka hisab mila karta hai

Khabar na lage chandani ko usake jaane ki
Isliye hi shayad wo apana dard chhipa
Dhire dhire muskura kar ojhal hua karta hai

Chand ka deewanapan to dekhiye
Aafatab to abhi talak gaya bhi nahi
Ki wo aa gaye bewaqt chandani ke deedar ko



MEDHA JAIN

namaskar medha ji

kya baat hai bhut khub likha hai
aap ko padna bhut aachaa raha medha ji likhte rahe

subhi sher ek se bad ke ek hai

wonder full dear


keep writing and keep smiling


sirftum

user posted image
उसका क्या कुसूर था जो उसको ये सज़ा दी
किया जिसने मुझ पर ख़ुद से ज़्यादा भरोसा
बता ए संग दिल क्यों मैने उसको दगा दी