#1 [url]

Jun 17 07 3:50 PM

QUOTE (aarzoo @ June 09, 2007 12:46 pm)
Zara sa aasmaan diya hota
Meri wafaaon ka sila diya hota
Maanga tha kuch pal ka saath
Mere hisse ka pyaar diya hota

Na gila hota tujh se kabhi bhi
Meri shikayaton pe nazar kiya hota
Intezaar-e-sanam jaan leva ehsaas hai
Mere pyaar ka ehsaas sangdil zara hota

Har kadam par jhoote waade kiye hai
Tere kasmon ka sahaara to mila hota
Jhooti aas main jee leti zindagi
Kaash laut aane ka waada kiya hota

Na umeed ki koi kiran nazar aati hai
Tere pyaar ne yun tabaah na kiya hota
Na ho raha hai yakeen teri bewafaai ka
Kaash teri farebi baaton ko jaan liya hota

Paa liya tune kinaara doobo ke mujhko
Majhdaar main kashti ko doboya na hota
Kinaare ki umeed main tayarti rahi
kaash hasraton ka kinara kareeb hota

Bohot khub aarzoooooooooooooooooooooo

Waise ghabdane ki koi baat nahi hai!,kyun????????
Main hoon na
Waqt gujrega, ham bikhar jayenge
Kaun jane sab kidhar jayenge.......
Ham tumhari parchayii hain yaad rakhna,
Jahan tanhai mili,wahan ham nazar aayenge


NM

Be Happy Today,
Just Enjoy Today,
Freak Out Today,
Live Freely Today,
Have Fun Today,
Cuz Who Knows............. You Might Fall In Love Tomorrow...


user posted image