#1 [url]

Jun 12 07 8:30 PM

QUOTE (aarzoo @ June 09, 2007 12:46 pm)
Zara sa aasmaan diya hota
Meri wafaaon ka sila diya hota
Maanga tha kuch pal ka saath
Mere hisse ka pyaar diya hota

Na gila hota tujh se kabhi bhi
Meri shikayaton pe nazar kiya hota
Intezaar-e-sanam jaan leva ehsaas hai
Mere pyaar ka ehsaas sangdil zara hota

Har kadam par jhoote waade kiye hai
Tere kasmon ka sahaara to mila hota
Jhooti aas main jee leti zindagi
Kaash laut aane ka waada kiya hota

Na umeed ki koi kiran nazar aati hai
Tere pyaar ne yun tabaah na kiya hota
Na ho raha hai yakeen teri bewafaai ka
Kaash teri farebi baaton ko jaan liya hota

Paa liya tune kinaara doobo ke mujhko
Majhdaar main kashti ko doboya na hota
Kinaare ki umeed main tayarti rahi
kaash hasraton ka kinara kareeb hota

deee..............paddd kar meri aankhen sii bhar aayi..aur ek ajeeb si uljhan bhi.......

sach hai ye toh..

Intezaar-e-sanam jaan leva ehsaas hai



bahut pyara likha hai..............

Ye AuR bAaT hAi Ke KiSmAt MuJHsE lipAt Ke RoI,
vArNa BaAhEn ToH tUjHe DeKhKaR fAiLaYi ThI



ISHQ