#1 [url]

Jun 12 07 1:36 PM

kuch duaaen lekar hum bhi gaye the dariya kinare,
paaniyon me magar wo aaj bhi lahraae ja rahi hain.

agarcheh zindgi me taariqiyan* to badhti jaati hain,
kyon kar wo ab tak zulfon ko bikhraae ja rahi hain.
(taariqiyaan=andhere,darkness.)

haan zamana hua badle hue fir bhi wahi sab kyu hai


yoon nigahon ke zor se deewana to bana chuki hain,
adaaen dekhe koi ki ab kaise sharmaae ja rahi hain.

humse rishta naa sahi in bahaaron ki kadr kar lijiye,
kitni hi kaliyaan intzaar me murjhaae jaa rahi hain.

hmm intezaar waqayi bahut dard dene wala hota hai


tauba karte hain mahkhane se to ye uljhan hai maula,
unki hi nigaahen fir rindon ko bahkaae jaa rahi hain.

sach kahte ho bhai jaan


unke jalwe dekhne hon to mere ghar aa jaana 'shaad',
apni yaadon se hi is veerane ko mahkaae ja rahi hain.

yaaden hi jine ka sahara ban jaati hai sach kahte ho shaad

bahut dino ke baad padha hai tumhe achha laga tumhe padhna aur tumhare hone ka ehsaas hona

user posted image