#1 [url]

Jun 9 07 11:32 AM

QUOTE (Brijinder @ June 09, 2007 02:06 am)
Shaayar


Shohrat ka nahi saudai shaayar
Daulat bhi nahi iska nishaanaa
Bus bhatkay hai dil dil ki mehfil
k mil jayay koi chehra-e-daanaa

Umr apni tehzeeb ko day jaataa hai shaayar
JazboN ko neeNd say jagaa laataa hai shaayar

Safar-e-shayar kaho ya naam laylo tanhai ka
k itna dushwaar hai jeena laal-e-khudai ka

Afkaar iskay aadmi kay bhoolay huay ahsaas
JunooN iska mehw-e-neeNd main say jaagoN ki talaash

Nahi pehchaany parwaazaiN iski daur-e-zamaanaa iska
Dariya-e-haazir main hai shayar ik safinaa-e-fardaa

Tasleem-e-shaayar hai gar aadmiyat ko pa jay aadmi
Muaaf gunaah sub hoNgay gar muhabbat ko pa jay aadmi.

------------------------


------------------------
Meaning;Daanaa-intellectual(wise),Laal-e-khudai-gem of nature, Afkaar-thoughts,Mehw-eneeNd-in the sleep,ParvaaIn-flights, Dariya-e-haazir-river of present,Safeenaa-e-fardaa-boat of future,Tasleem-e-shayar-recognition of poet

wowwwwwwwww its sooooooooooo beautifulllllll brijender jee...ek ek lafz main shayar ke ehsaason ki kasak samaai hai...it really touched my heart...bohot khoobsurati se aapne alfaaz diye hai is ehsaas ko...yunhi bazm ko mehkaate rahiye...god bless.