#1 [url]

Jun 5 07 8:18 AM

QUOTE (aarzoo @ June 05, 2007 03:55 am)
QUOTE (Harash Mahajan @ June 01, 2007 08:22 am)
Ik Be-wafa


Hamne tumhaari aaj zubaan bhi dekh li
harkat-o-manzer Tufaani dekh li
Chain-o-aman ab kho gaya hai is tarah
tere hi Ghar par be-wafa ik dekh li.

Har taraf yuiN khouf ka manzer chala
tere hi haathoN unka sab chakker chala
hasrat chhupa tu is tarah phir kyuiN chali
Mere dar pe aake kyuiN samander chali.

Rafta-rafta kho rahi hai har fizaN
kis kader ab ho gayi hai gard zubaaN
pyaar tera hai ghoom raha ab kahaan kahan
ho jaye na ab khak tera ye dil dhuaaN.

Harash

wowwwwwwww beautifullllllll the title of this poem attracted me...aur jab padha to seedhe dil main utar gaya aapka kalaam..bohot khoob likha hai harash..nazm aap bohot kam likhte hai...aur aaj aapke kalam se ye ehsaas padh kar acha laga..keep writing god bless.

Har taraf yuiN khouf ka manzer chala
tere hi haathoN unka sab chakker chala
hasrat chhupa tu is tarah phir kyuiN chali
Mere dar pe aake kyuiN samander chali.

khoobsurat ehsaaaaaaaaaaaaa...

aarzoo ji adaab....ji haan aarzoo ji ...bahoot kam hi likh pata haoon nazms...;lekin kabhi kabhi likhne main achha lagta hai....lagta hai ki daayre se bahar bhi kutchh anjam dooN apne ahsaasoN ko....kabhi metaphorrics se originality of words ka bhi paryog kiya jaye....bahoot bahoot shukriya aapke shabdoN ka is kavita ke baare maiN....umeed hai aap isi tarah hamaari houslaa afzaayii kerte raheinge..


Harash