#1 [url]

Jun 4 07 8:33 PM

QUOTE (Misty @ June 01, 2007 07:45 pm)
QUOTE (Harash Mahajan @ June 01, 2007 08:22 am)
Ik Be-wafa


Hamne tumhaari aaj zubaan bhi dekh li
harkat-o-manzer Tufaani dekh li
Chain-o-aman ab kho gaya hai is tarah
tere hi Ghar par be-wafa ik dekh li.

Har taraf yuiN khouf ka manzer chala
tere hi haathoN unka sab chakker chala
hasrat chhupa tu is tarah phir kyuiN chali
Mere dar pe aake kyuiN samander chali.

Rafta-rafta kho rahi hai har fizaN
kis kader ab ho gayi hai gard zubaaN
pyaar tera hai ghoom raha ab kahaan kahan
ho jaye na ab khak tera ye dil dhuaaN.

Harash

Harash ji.

bahut achi nazm se mila diya hai, har alfaz ko khub istimaal kiye hain.

Rafta-rafta kho rahi hai har fizaN
kis kader ab ho gayi hai gard zubaaN
pyaar tera hai ghoom raha ab kahaan kahan
ho jaye na ab khak tera ye dil dhuaaN.

har pankti mein mano jaan phoonk di hai. shukriya daad hazir hai kabool karain.

nira

bahoot bahoot shukriya Nira ji...


harash