#1 [url]

Jun 2 07 5:46 AM

QUOTE (Misty @ June 01, 2007 03:56 am)
Yeh barish tumhari yaad dila rahi hain


Yeh kale badal kyun gadgada rahe hain
Mere dil par kyun mandra rahe hain
Bijli ke taar mano dil ko chooye ja rahe hain

Ghargarahat yeh kaisi badh gayi hai
Muje kaunsa sandesh soona rahe hain.
Kyun muje is kadar daara rahe hain

Barsaat bhi kahar dhaa rahi hai
Har aor barish barsa rahi hai
Aaj muje is kadar kyun rula rahi hain

Kal bhi to bijli chamki thi humpar
Khul kar barkha barsi thi sanam
Yeh barish tumhari yaad dila rahe hain

Kal har pal saath tumhara tha
Haat ne haat mera thamma tha
Aaj yeh boonde pass bula rahe hain

Kal ka bhigna yaad hai mujko
Tum mein simat jana yaad hai.
Aaj vo lamhe aag sulgaa rahe hain

Aaj hum kale badlon main ghirain hain.
Gila badan liye khud mein simte hain
Aaj bhi thand muje tadap rahe hain

Nira

wah mist ji bahot sunder shabd me apki is rachna ko namn kerti hon