#1 [url]

Jun 1 07 9:02 AM

Kal ka bhigna yaad hai mujko
Tum mein simat jana yaad hai.
Aaj vo lamhe aag sulgaa rahe hain

Aaj hum kale badlon main ghirain hain.
Gila badan liye khud mein simte hain
Aaj bhi thand muje tadap rahe hain



khoobsurat Ehsaasat..........


Nira jee


Lagta hai barish ki suruwaat ho gayi hai...haan aapke mumbai mein barish ka aagaaz ho chuka hai pichali barish ki yaado aur usko sochkar tadpana yahi pyaar ka ek imtehan bhi hai...shabado mein khoobsurti se dhala hai aapne...daad qabool kare


apna khayal rakhe