#1 [url]

May 23 07 2:02 PM

QUOTE (GEETANJALI @ May 23, 2007 11:30 am)
sooooooooooooooooooooooooooooooo sweet !!!

I loved the last line of ur message and ur $ lines are really assuring

main chalti hoon kuchh kadam
tum thaam lena mujhey agale hi kadam
zindagi ka saath nahi chhora maine
ussne mujhko aur maine ussko azmaayaa har kadam

main chalti hoon kuchh kadam
tum thaam lena mujhey agale hi kadam
zindagi ka saath nahi chhora maine
ussne mujhko aur maine ussko azmaayaa har kadam

Sorry Geeta lekin yahan main aapki baat nahin manunga. Main aapko kabhi nahin thamoonga. Janti hain kyon. Ek baar mujhe kisi ne kaha ki sacha dost wo hota hai jiske saath aap apne sabhi dukh baant sako. Jante ho mera jawaab. Guess karo....

Maine kaha ki sacha dost wo nahin hota jiske saath aap apne sabhi dukh baant sako. Balki sacha dost wo hota hai jo jab aapke saath ho to aapko koi dukh hi na ho. Aur main apne doston ko dukhi hone hi nahin deta to baantna to door ki baat hai na.

Kisi raat kabhi mer saath, ye haseen anokhi baat ho gayi
Sune the jiski bewafai ke kisse, us zindagi se mulaqat ho gayi.
Maine kaha kyon darling, zamana tumse kyon hara hai
Wo boli maine Ehsaason ko Nahin "Ehsaason ne mujhko mara hai"

Log kehte hain mujhe bewafa, mujhe badnaam karte hain
Jane wo log meri itni si baat kyon nahin samajhte hain
Main nahin karti bewafaai, balki ye duniya mera hi roop hai
Aaina hoon main karmo ka apne, Har zakhm mera swaroop hai


Artharth, Dosti kiye ja, Fal ki apeksha mat kar. Meetha hoga to kha lena aur jo kadwa ho to bo dena. Hazaron aur fal milenge aur mostly meethe hi honge.

Samjhe Bachha.....

Amit Widhani....

Ek Teeli Maachis se, Samandar ko kya Jalaoge Tum !!!!

Piye ho jisne Khoon ke Aansoo, Chand Kharonchon se usse kya Rulaoge Tum???