#1 [url]

May 18 07 6:00 PM

QUOTE (SanjayGulatiMusafir @ May 18, 2007 10:17 am)
जो रूठे हैं मेरे हमदर्द भी मुझसे, क्या मैं भी रूठा बैठा हूँ
जो मिलती है तन्हाई महफ़िलों में आकर मुझसे
क्या मैं सबसे टूटा बैठा हूँ

कैसा दिखता है अक्स मेरा ज़माने के दर्पण में
क्या मैं अपनी बिखरी तस्वीर लिए बैठा हूँ



Mera Darpan, Mera Aaina Meri maa ki Aankhen thi
Aaj usne aankhen moond li hain
Kahan jaaon kahan niharoun khud ko
Maa ab duniya mein hi nahin hai

Main nahin rootha us hamdard se kabhi
Aaj wo hi mujhe choot gayi
Main tanha apni marzi se nahin hoon
Meri taqdeer mujhse rooth gayi

Kabhi jo mehfilein mere naam se roshan thi
Aaj wo meri rooh ko wo dafna chuke main
Mehekte the jo phool aashiyane mein mere
Aaj meri majaar par wo murjha chuke hain

Meri saanse khuda ki marzi nahin meri maa ki amanat hain
Jo zinda hai ye hans baazon ke mele mein ye uski inayat hai

Shayad hogi teri zaroorat khuda ko par usse mujhe kya lena maa
Maa tu ja rahi hai Maa tu mat ja....
Tujh bin kahan jee paunga main tu mujhse door to mat ja
Dar dar bhatak raha hoon maa aa mere paas aa, aa mere paas aa...

Amit Widhani....

Ek Teeli Maachis se, Samandar ko kya Jalaoge Tum !!!!

Piye ho jisne Khoon ke Aansoo, Chand Kharonchon se usse kya Rulaoge Tum???