#1 [url]

May 10 07 11:57 AM

Namaste Lucky bhaai!!
kaise ho... bahut din baad koii kalaam mehfil mein laaye ho!! bahut khoob koshish ki hai aapne... uske liye daad qubool karnaa!! ek-aad jagah pe kuchh baarik nuks najr aaye ..unkii nishandehii ki hai!!! agar na-gavaar ho to muaafi ki talab rahegii.. aur agar meraa sochnaa galat ho to bhii mere doubts zaroor clear karnaa... chhote bhai se yahi chaahtaa hu!!
=============================================
Is zamaane ko zaraa haNs-haNs ke rulaa looN,
LamhoN ki saakh se kuch yaadeN churaa looN
Lucky miyaa!!matle ke dono misro mein tukbandii ke sivaa koii rabt najr nahii aa rahaa!! tumse guzarish hai ki mujhe is se mukhatib kara do !!
=============================================
E azal chand pal ruk,jo kuch apnoN ki duaa looN,
Do pal ki jist ata* kar,to gum-e-ashiqui bhulaa looN…
alfaaz jist nahi .. zeest or chhote rukn mein kabhi kabhi zist kahte hai!! sher aur bhii sundar ban saktaa hai ..thodaa gaur kiyaa jaaye to!!
=============================================
Jo dekh na paauN uski tadap,to kaise apni bataa looN,
Uske palkoN se kaise main apne ye ashq bahaa looN!!
jahaa tak meri graamer ke gho.De dau.Dte hai... "bataa" alfaaz ke saath "denaa" shabd ju.Dtaa hai ... "bataa lenaa" mein padhaa bhii nahii .. sunaa bhii nahi... is thodaa confirm kar lenaa!!!
==============================================
Jaane se pehle hasrat-e-paabosh* to khatm kar dete,
Ab in saaNsoN ka bojh maiN kab tak sambhaalooN
nice one!!!
==============================================
Meri mohabbat hi unki bewafaai ka sabab ban gayi,
Koi bataaye ab aur maiN kya ulfat ka mazaa looN
dono misro mein rabt nahii baith paa raha... alfaaz saath nahii de rahe!!
==============================================
Kabhi laut v aayeN wo to meri haalat ka ilm na ho,
To jaane se pehle, apna naam-o-nishaaN mitaa looN
ye sher bahut khoob lagaa... par yahaa bhii wahii baat hai .."mitaa " alfaaz ke saath "denaa" yaa "doo.n" to maine sunaa hai ... "lenaa" or "loo" nahi sunaa!!
khayal bahut hi sundar hai!!
==============================================
Tere saath v jayega“ghayal”eh farishte,par intezar kar,
Pehle zamaane ko zaraa andaaz-e-aashiqui sikhaa looN
nice!!!
==============================================

apnaa khayaal rakhnaa!!